thami hui hai kahkashan apne hath se

thami hui hai kahkashan apne hath se
tamir kar raha hun makan apne hath se

aaya hun wo zamin o shajar dhundta hua
khinchi thi ek lakir jahan apne hath se

husn-e-bahaar mujh ko mukammal nahin laga
main ne tarash li hai khizan apne hath se

aaine ka huzur samundar laga mujhe
kata hai main ne sail-e-giran apne hath se

'sarwat' hadaf bahut hain jawanan-e-shahr mein
rakkho abhi na tir o kaman apne hath se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close