tilism-e-gumbad-e-be-dar kisi pe wa na hua sharar to lapka magar shola-e-sada na hua hamein zamane ne kya kya na aaine dikhlae magar wo aks jo aaina-ashna na hua bayaz-e-jaan mein sabhi sher khub-surat the kisi bhi misra-e-rangin ka hashiya na hua na jaane log thaharte hain waqt-e-sham kahan hamein to ghar mein bhi rukne ka hausla na hua wo shahr aaj bhi mere lahu mein shamil hai wo jis se tark-e-talluq ko ek zamana hua yahi nahin ki sar-e-shab qayamaten tutin sahar ke waqt bhi in bastiyon mein kya na hua main dasht-e-jaan mein bhatak kar thahar gaya 'akhtar' phir is ke baad mera koi rasta na hua