tu hai aur aish hai aur anjuman-arai hai main hun aur ranj hai aur gosha-e-tanhai hai sach kaha hai ki ba-ummid hai duniya qaim dil-e-hasrat-zada bhi tera tamannai hai dil ki fariyaad jo sunta hun to ro deta hun chot kambakht ne kuchh aisi hi to khai hai be-niyazi ki adaen wo dikhate hain bahut khu-e-taslim meri un ko pasand aai hai zulf barham mizha bargashta jabin chin-alud meri bigdi hui taqdir ki ban aai hai adab-amoz bala ka hai taghaful un ka shauq-e-pur-hausla ne khub saza pai hai kahe deta hun kisi aur ki jaanib tu na dekh kya ye kuchh kam hai ki 'wahshat' tera saudai hai