umur-e-khair mein kuchh ehtimam ho na saka mal nek ho jis ka wo kaam ho na saka baghair manzil-e-awwal qayam ho na saka jab aaya coach ka din phir maqam ho na saka har ek murtakib masiyat yahan se gaya kisi bashar se farishte ka kaam ho na saka qadam kisi ki na thahri jab aab-o-dana utha guhar se batn-e-sadaf mein qayam ho na saka sharab-e-ab-e-khajalat nigah mein thahre ki chashm-e-yar se ham-chashm jam ho na saka nazakat us ke qadam chumti hai dekha hai kadi pahan liye jis din khiram ho na saka mile na un se mile hum juda hue jab se phata dil aisa ki phir iltiyam ho na saka har ek ranj ko rahat samajh li shukr kiya kare shikayat-e-aqa ghulam ho na saka kisi ke mulk-e-itaat mein aamli na chale fasad-e-nafs raha intizam ho na saka hua hai aatish-e-gul mein lagi ye talwon se ude sharar ki tarah hum qayam ho na saka gae jo shikwe ko apna sa munh wo le ke phire mili zaban na munh mein kalam ho na saka sharab tark ki hum ne raqib ke hathon lahu ke ghunt piyen hum mudam ho na saka kabhi wafai na hilne diya lab-e-fariyaad buton se hashr mein bhi intiqam ho na saka hazar nemat-e-duniya ne hum ko lalchaya halal luqma hamara haram ho na saka nasib ho na taraqqi to badh hai be-kar hilal tegh ka mah-e-tamam ho na saka hai yaadgar zamane mein apni tanhai faqir ka koi qaim maqam ho na saka hazar mauj-sifat 'bahr' dast-o-pa mare habab san magar apna qayam ho na saka