wo alag chup hai khud se sharma kar kya kiya main ne hath phaila kar phal har ek dal par nahin hote sang har dal par na phenka kar taza rakhne ki koi surat soch sukhe lab par zaban na phera kar dasht-e-suraj mein kya mila hum ko rah gaya rang apna sanwla kar mit na jae kahin wajud tera khud ko fursat mein chhu ke dekha kar aaina ho chala hai suraj ab hai yahi waqt sab ko andha kar ek hon do kinare dariya ke koi aisi sabil paida kar kaise darwaze par qadam rakhkhun koi leta hai panw phaila kar suraten zehn se na mit jaen bhule-bhatke idhar bhi nikla kar sarsari taur par jo baat hui us ne puchha usi ko dohra kar thahre pani mein phenk kar patthar apne sae ko tu na ruswa kar