wo aur log the jo raste badalte rahe

wo aur log the jo raste badalte rahe
safar hai shart so hum nind mein bhi chalte rahe

pighal raha tha yugon se wajud ka lawa
khayal-o-khwab mere pattharon mein dhalte rahe

unhen qubul meri rahbari na thi lekin
mukhalifin mere sath sath chalte rahe

jinhen nasib hua un ko bakhsh di raunaq
main jin ke hath na aaya wo hath malte rahe

agarche zauq-e-safar mein kami nahin aai
qadam qadam pe magar zawiye badalte rahe

ubhar jo aae sar-e-sham aatishin lamhe
safar mein barf-badan der tak pighalte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close