ye na socha tha kaDi dhup se rishta bhi to hai

ye na socha tha kadi dhup se rishta bhi to hai
sirf dariya hi nahin rah mein sahra bhi to hai

dastan-go ki har ek baat tawajjoh se sunun
is hikayat mein mere yar ka qissa bhi to hai

tujh ko chhune ke liye hath badhaun to lage
phul ke sath har ek shakh mein kanta bhi to hai

khud hi khinche the hisar us ne magar ab ki bar
mujh se milne wo haden tod ke aaya bhi to hai

kashmakash mein hun karun tark-e-talluq kaise
us sitamgar pe mere dil ko bharosa bhi to hai

bad-dua ab mere honton pe machalti hi nahin
isi duniya mein meri chhoti si duniya bhi to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close