wo jis ka rang salona hai baadalon ki tarah gira tha meri nigahon pe bijliyon ki tarah wo ru-ba-ru ho to shayad nigah bhi na uthe jo meri aankh mein rahta hai ratjagon ki tarah charagh-e-mah ke bujhne pe ye hua mahsus nikhar gai meri shab tere gesuon ki tarah wo aandhiyan hain ki dil par tumhaari yaadon ke nishan bhi mit gae sahra ke raston ki tarah meri nigah ka andaz aur hai warna tumhaari bazm mein hun main bhi dusron ki tarah qarib aae to gum-karda-rah dikhai diye jo dur se nazar aate the manzilon ki tarah har ek nazar ki rasai nahin ki dekh sake hujum-e-rang hai kharon mein bhi gulon ki tarah na jaane kaise safar ki hai aarzu dil mein main apne ghar mein pada hun musafiron ki tarah main dasht-e-dard hun yaadon ki nikhaton ka amin hawa thame to mahakta hun gulshanon ki tarah damak raha hai jabin-e-dawam par farhad sharar-e-tesha farozan hai mashalon ki tarah usi ki dhun mein chattanon se sar ko takraya wo ek khayal ki nazuk tha aainon ki tarah