wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha

wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha
zabanen dushmanon ki thin magar afsana mera tha

tadapta hun ki ek saghar kisi hatim se mil jae
zawal-e-asman dekho kabhi mai-khana mera tha

bala ki khamushi tari thi har-su teri haibat se
sar-e-mahfil jo gunja nara-e-mastana mera tha

kate yun to hazaron sar wafa ki karbalaon mein
tere neze pe jo ubhra sar-e-shahana mera tha

faqih-e-shahr ko samjho ki hum pakde gae nahaq
sharaben sab usi ki thin bas ek paimana mera tha

bana hai 'arsh' wo munsif to phir ye bhi kabhi dekhe
hua hai band jo mujh par wahi virana mera tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close