wo kahte hain ranjish ki baaten bhula den

wo kahte hain ranjish ki baaten bhula den
mohabbat karen khush rahen muskura den

ghurur aur hamara ghurur-e-mohabbat
mah o mehr ko un ke dar par jhuka den

jawani ho gar jawedani to ya rab
teri sada duniya ko jannat bana den

shab-e-wasl ki be-khudi chha rahi hai
kaho to sitaron ki shamen bujha den

bahaaren simat aaen khil jaen kaliyan
jo hum tum chaman mein kabhi muskura den

ibaadat hai ek be-khudi se ibarat
haram ko mai-e-mushk-bu se basa den

wo aaenge aaj ai bahaar-e-mohabbat
sitaron ke bistar pe kaliyan bichha den

banata hai munh talkhi-e-mai se zahid
tujhe bagh-e-rizwan se kausar manga den

jinhen umr bhar yaad aana sikhaya
wo dil se teri yaad kyunkar bhula den

tum afsana-e-qais kya puchhte ho
idhar aao hum tum ko laila bana den

ye be-dardiyan kab tak ai dard-e-ghurbat
buton ko phir arz-e-haram mein basa den

wo sarmastiyan bakhsh ai rashk-e-shirin
ki khusru ko khwab-e-adam se jaga den

tere wasl ki be-khudi kah rahi hai
khudai to kya hum khuda ko bhula den

unhen apni surat pe yun naz kab tha
mere ishq-e-ruswa ko 'akhtar' dua den


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close