wo mashq-e-KHu-e-taghaful phir ek bar rahe

wo mashq-e-khu-e-taghaful phir ek bar rahe
bahut dinon mere matam mein sogwar rahe

khuda ki mar jo ab dil pe ikhtiyar rahe
bahut qarar ke parde mein be-qarar rahe

kisi ne wada-e-sabr-azma kiya to hai
khuda kare ki mujhe tab-e-intizar rahe

fana ke baad ye majburiyan are tauba
koi mazar mein koi sar-e-mazar rahe

sukun-e-maut meri lash ko nasib nahin
rahe magar koi itna na be-qarar rahe

main kab se maut ke is aasre pe jita hun
ki zindagi meri marne ki yaadgar rahe

jo dil bacha na sake jaan kya bacha lenge
na ikhtiyar raha hai na ikhtiyar rahe

main gham-nasib wo majbur-e-shauq hun 'fani'
jo na-murad jiye aur ummid-war rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close