ye aur baat teri gali mein na aaen hum

ye aur baat teri gali mein na aaen hum
lekin ye kya ki shahr tera chhod jaen hum

muddat hui hai ku-e-butan ki taraf gae
aawargi se dil ko kahan tak bachaen hum

shayad ba-qaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunaen hum

be-nur ho chuki hai bahut shahr ki faza
tarik raston mein kahin kho na jaen hum

us ke baghair aaj bahut ji udas hai
'jalib' chalo kahin se use dhundh laen hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close