ye jo phuT baha hai dariya phir nahin hoga

ye jo phut baha hai dariya phir nahin hoga
ru-e-zamin par manzar aisa phir nahin hoga

zard gulab aur aainon ko chahne wali
aisi dhup aur aisa sawera phir nahin hoga

ghayal panchhi teri kunj mein aan gira hai
is panchhi ka dusra phera phir nahin hoga

main ne khud ko jama kiya pachchis baras mein
ye saman to mujh se yakja phir nahin hoga

shahzadi tere mathe par ye zakhm rahega
lekin is ko chumne wala phir nahin hoga

'sarwat' tum apne logon se yun milte ho
jaise un logon se milna phir nahin hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close