yun to har ek shakhs hi talib samar ka hai aisa bhi koi hai ki jise gham shajar ka hai ye kaisa karwan hai ki ek ek gam par sab sochte hain kya koi mauqa safar ka hai ye kaisa aasman hai ki jis ki fazaon mein ek khauf sa shikastagi-e-baal-o-par ka hai ye kaisa ghar hai jis ke makinon ko har ghadi dhadka sa ek larzish-e-diwar-o-dar ka hai aaankhon pe tirgi ka tasallut hai is qadar kirnon pe ehtimal fareb-e-nazar ka hai chehre ka koi dagh dikhai na de mujhe ye moajaza ajab mere aaina-gar ka hai tha 'mir-ji' ka daur ghanimat ki un dinon dastar hi ka dar tha magar ab to sar ka hai ye sare silsile the jab aaankhon mein nur tha ab kis ka intizar kisi dida-war ka hai ghaalib hai ab buland sada hi dalil par 'sadiq' hamara daur ajib shor-o-shar ka hai