zindagi ko hum wafa tak wo jafa tak le gae

zindagi ko hum wafa tak wo jafa tak le gae
apne apne fan ko donon intiha tak le gae

laghzishon mein kya muafi ki tawaqqo ho ki jab
be-gunahi ko bhi meri wo saza tak le gae

sahilon par aur bhi khush-zauq the lekin mujhe
paniyon ke rang har mauj-e-bala tak le gae

ji rahi hai ab to basti ek sannate ke sath
jabr ke mausam faqiron ki sada tak le gae

ek zabun-haali to thi par tum meri tarikh ko
chand hi barson mein daur-e-ibtila tak le gae

aasman ki dushmani itni bhi yak-tarfa nahin
hum bhi dharti ki balaon ko khala tak le gae

hum ne khud apni duaon ko kiya hai be-asar
hum jo chhoti chhoti baaten bhi khuda tak le gae

kho chuke the waqt ki pahchan bhi 'shahzad' hum
ajnabi lamhe magar ek aashna tak le gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close