aasafuddaula-e-marhum ki tamir-e-kuhan jis ki sanat ka nahin safha-e-hasti pe jawab dekh sayyah use raat ke sannate mein munh se apne mah-e-kaamil ne jab ulti ho naqab dar-o-diwar nazar aate hain kya saf-o-subuk sahar karti hai nigahon pe ziya-e-mahtab yahi hota hai guman khak se mas is ko nahin hai sambhaale hue daman mein hawa-e-shadab yak-ba-yak dida-e-hairan ko ye shak hota hai dhal ke sanche mein zamin par utar aaya hai sahab be-khudi kahti hai aaya ye faza mein kyun kar kisi ustad musawwir ka hai ye jalwa-e-khwab ek ajab manzar-e-dil-gir nazar aata hai dur se aalam-e-taswir nazar aata hai
This is a great shak par shayari. True lovers of rana sahab shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this ustad e shayari pdf is truly a work of art. Please share if you liked this!!!