alkubDe

ye sat-mahe
man ke khali pet ke virane mein karahe

nangon, bhukon, bhik-mangon ne
apni sada suhagan line aur badha di

wo eazaz diya
ek jagah mustaqil bana di

un ki khamida pusht
apne kohan se

mudi kaman thi
jis ki bad-surat parchhain

khatt-e-falak par dagh kadhti thi
nile rang afsurda lagte the

un ke bap purane ghag
bade jalali bhik-mange the

sare kasa-leson par
kuchh aisi dhak!

wo un ki aawaz sunen
to rasta chhod den

aur gale mein aisi tan!
jo pankaj ki kharaj bhula de

(ajab zamana tha
jo europe ke gulzaron mein

akhwe phutte the
tab bangal ke aur punjab ke

lash lash karte kheton mein
dhan aur gandum ke khoshe

murjhane lagte the)
is pas-e-manzar mein

bap ki mustaqbil-andeshi ne
tin baras ki lunj-munj si

chiz ke donon hat
chat chat tod ke

ek ek kuhni aur bana di thi
chaar-dang mein shohrat phail gai

parda
parda

chaar kuhniyon wale
ram-charan alkubde aate hain

is aawaz ne
itne itwaron ki khamoshi todi thi

jin ka hisab nahin
ye kachhwe ki

ulti pith aisi
takhti ki kashti mein

pairon ke patwar chalate
humak humak andar aate

aur chiqon ke pas pahunch kar
tam chini bartanon se

chapar chapar khane khate
aur dadi jaan ke sae se

sahj sahj baaten karte jate the
sola sal yahi mamul raha

dildari aur shikam-puri ka yahi usul raha
ek sham abhagan aai

ye nahin aae
koi sitla dain aai

ye nahin aae
badi dhundayya padi

udasi phail gai
ammi jaan aur dadi jaan ne

paise bhej ke
jalwane ka band-o-bast kiya

to jal kar bhasm hue
par un ki muqaddas rakh aaj bhi

meri ruh mein udti hai
parda

parda
chaar kuhniyon wale

ram-charan alkubde aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close