an-kahi

sanwli! to mere pahlu mein hai
lekin teri pyasi aankhen

kabhi diwar ko takti hain
kabhi jaanib-e-dar dekhti hain

mujh se is tarah gurezan jaise
unhen mujh se nahin diwar se kuchh kahna hai

ya ye panchhi hain jinhen
ek hi parwaz mein ud jaana hai

hath nahin aana hai
(ai meri sanwli! in aankhon ke donon panchhi

gar ude bhi to mere dil ki taraf aaenge)
sanwli! mujh ko teri aankhon ne

wo fasane bhi sunae ki jinhen
kahna chahen to tere hont faqat ji kah kar

aur afsanon ko dohrane lagin
ya tu beganon ki manind mere pas se guzre

to kabhi
meri taraf dekh ke chalna bhi gawara na kare

lekin aankhon mein chamak aa jae
maslahat hont to si le magar in aankhon ko

kaise khamosh rakhe kaise unhen samjhae
baat karti hai to aankhen nahin milne deti

sanwli darti hai dil nain jharokon mein na aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close