talab ke tale

gul-o-yasman kal se na-ashna
kal se be-e'tina

gul-o-yasman apne jismon ki haiat mein fard
magar kal se na-ashna kal se be-e'tina

kasi marg-e-mubram ka dard
un ke dil mein nahin!

faqat apni tarikh ki be-sar-o-pa talab ke tale
hum dabe hain!

hum apne wajudon ki pinhan tahen
kholte tak nahin

aarzu bolte tak nahin!
ye tarikh meri nahin aur teri nahin

ye tarikh hai izhdiham-e-rawan
usi izhdiham-e-rawan ki ye tarikh hai

ye wo chikh hai
jis ki takrar apne man-o-tu mein hai

wo takrar jo apni tahzib ki hu mein hai
tujhe is pe hairat nahin

hum is izhdiham-e-rawan ke nishan-e-qadam par chale ja rahe hain
badhe ja rahe hain

ki hum zulmat-e-shab mein tanha
pade rah na jaen

badhe ja rahe hain
na jine ki khatir

na is se fuzun zinda rahne ki khatir
badhe ja rahe hain kisi aib se

rahzan-e-marg se bach nikalne ki khatir
judai ki khatir!

kisi fard ke khauf se badh rahe hain
jo baatin ke tute darichon ke pichhe

shararat se hansta chala ja raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close