hadd-e-badan mein meri zat aa nahin rahi hai

hadd-e-badan mein meri zat aa nahin rahi hai
bhagi hui hai aisi hath aa nahin rahi hai

ek sath kar raha hun itni bahut si baaten
honthon pe kahne wali baat aa nahin rahi hai

suraj mera pada hai aankhon ke raste mein
din dhal chuka hai kab ka raat aa nahin rahi hai

bazar mein ghira hun aur shor ho raha hai
meri samajh mein koi baat aa nahin rahi hai

duniya se baat kar ke bad-zat ho gaya main
ab mere ghar meri hi zat aa nahin rahi hai

jis raat farhat-ehsas apni hadon se nikle
wo man ki kokh jaisi raat aa nahin rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close