wafa-e-dostan kaisi jafa-e-dushmanan kaisi

wafa-e-dostan kaisi jafa-e-dushmanan kaisi
na puchha ho kisi ne jis ko us ki dastan kaisi

kuchh aisa ehtiram-e-dard-e-ulfat hai mere dil ko
khamoshi hukmaran hai aah o fariyaad o fughan kaisi

kisi ko fikr-e-azadi nahin is qaid-e-rangin se
dil-e-alam pe hai chhai hui mohr-e-butan kaisi

bhula hi dete hain us ko jo guzra bazm-e-alam se
hai sab ko apni apni fikr yaad-e-raftagan kaisi

tumhaara muddaa hi jab samajh mein kuchh nahin aaya
to phir mujh par nazar dali ye tum ne mehrban kaisi

abhi hote agar duniya mein 'dagh'-e-dehlawi zinda
to wo sab ko bata dete hai 'wahshat' ki zaban kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close