Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi

Gham-e-dil ko inn aakhon se chalak jana bhi
aata hai
tarapna bhi hamein aata hai tarpaana bhi aata
hai
kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai
hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari
hai
woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni
sunayein ge
kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko
aazmayein ge
dabe paaon hamein aa kar kisi ka gud-gudaa
dena
woh apna rooth jana aur woh unnka manaa
lena
woh manzar jhaankte hain aaj bhi yaadon ki
chilman se
bhula sakta hai kaise koi woh anzaad bachpan
ke
hamein aata nahi hai pyar mein be-aabru hona
sikhaya husn ko hum ne wafaa mein surkhuroo
hona
hum apne khoon-e-dil se zindagi ki maang bhar
dein ge
yeh dil kya cheez hai, hum jaan bhi qurbaan
kar dein ge

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close