Intezaar Karte Hai Hum Unka Der Tak

Intezaar karte hai hum unka der tak,
unko na aane ki aadat si ho gayi hai.
baat baat pe muskurate thae hum,
aab to roone ki aadat si ho gayi hai.
kabhi talab karte thae unse hum,
aab to berukhi sehne ki aadat si ho gayi hai.
kabhi ek humdard chahte thae hum bhi,
par aab to tanha gum sehne ki aadat si ho gayi hai.
jab se sochna shuru kiya hai unko,
saari saari raat jaagne ki aadat si ho gayi hai.
aab to chahe chhod bhi de humein wo,
unke bin rehne ki aadat si ho gayi hai.
jise bhi chaha humne wo chor kar chala gaya,
aab to khone ki aadat si ho gayi hai.
jab se wo gaye hai humein chor kar,
tab se chup rehne ki aadat si ho gayi hai.
unse na koi shikwa na koi shikayat hai humein,
bas khud se shikayat karne ki aadat si ho gayi hai.
malum hai ke humari kismat mei wo nahi,
bas kismat se ladne ki aadat si ho gayi hai.
wo jahan bhi rahe bas khush raho,
ye dua mangne ki aadat si ho gayi hai.

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close