Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen pohanchey,
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho.
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai,
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai.
Awaaz ghunghrooON ki…Nahin hai to kya hua,
Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai.
Tanhai kisko kehte hain…Mujhko pata nahin,
Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai.
Paimana saamne hai to…Kuch gum nahin Nizaam,
Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai.
This is a great toote dil ki shayari in urdu. Please share if you liked this!!!