Jab Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye Zakham Phir Yaad Puranay Aye Baar

Jab bhi hansnay ke zamanay aye
zakham phir yaad puranay aye

baar.ha un ko manaya to humain
rooth janay ke bahanay yaad aye

phir mujhe toot ke chaha uss ne
phir bicharnay ke zamanay aye

muskara kar humain milne wale
zindgi bhar ko rulanay aye

kitni mehroom thin neendain uss ki
khawab bhi jin ko jagaanay aye

teri chahat ne tharnay na diya warna
rah mein kitne thikanay aye

isi umed pe jago raat bhar
ab wo kis waqt naa janay aye

raas aya jinhe sehra mohsin
unn ki qismat mein khazanay aye...!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close