Bachpan wala vo "Itvaar" ab nahi aata

Bachpan wala vo "itvaar" ab nahi aata..
dost pe ab vo pyar nahi aata..
jab vo kahta tha to nikal padte the bina ghadi dekhe..
ab ghadi me vo samay aur vo vaar nahi aata..
bachpan wala vo "itvaar" ab nahi aata..
vo cycle ab bhi muze yaad hai jispe mein uske pichhe baith ke khush ho jaya karta tha..
ab uski car me bhi aaram nahi aata..
jeevan ki raho me aisi ulzi hai gutthiya..
uske ghar ke samne se gujar ke bhi us se milna nahi ho pata..
vo malgudi days.. vo mogli.. ye jo hai zindagi.. surabhi.. rangoli aur vo chitrahar ab nahi aata..
ramayan.. mahabharat.. chanakya.. ka vo kaal ab nahi aata..
bachpan wala vo "itvaar" ab nahi aata..
ab har vaar somvaar hai..
kaam.. dukan.. boss.. biwi.. bachche..
bas yahi zindgi hai..
dil se dil ki baat ka izhar nahi ho pata..
bachpan wala vo "itvaar" ab nahi aata..
bachpan wala vo "itvaar" ab nahi aata..

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close