Sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pahucha ishq tha jo kabhi izhaar tak nahi pahucha yun to

Sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pahucha
ishq tha jo kabhi izhaar tak nahi pahucha

yun to guftagoon bahut huyi unse fir bhi
silsila kabhi ye pyaar tak nahi pahucha

jaane kaise ho gaya waakif tamaam shahar
daastan-e-ishq yun to kabhi akhbaar tak nahi pahucha

sharte ek dusare ki manzoor thi yun to
par masauda hamara kabhi karaar tak nahi pahucha

gahrayi dosti ki main naapta bhi kaise
rishta hamara kabhi taqraar tak nahi pahuncha

anaa meri mujhe izazat nahi deti
faqat isliye'main'darbar tak nahi pahucha

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close