aankhen nikal aai hain meri sans ruki hai jald aa ki teri yaad gala ghunt rahi hai dawat ki teri bazm mein kyun dhum machi hai kya baat hai kya koi nai jeb kati hai waiz ko jo dekho to ghata-top andhera saqi ko jo dekho to kiran phut rahi hai kya hai jo nahin ye asar-e-rabt-e-mohabbat roe to hain wo aur meri aawaz padi hai sae ki tamanna mein jahan baith gaya hun chandiya pe wahin tak ke diwar giri hai chhute nahin chhutti hai tere wasl ki hasrat ye jonk mere dil ka lahu chus rahi hai wo un ka zamana tha jahan aql badi thi ye mera zamana hai yahan bhains badi hai phir kya hai jo 'machis' nahin ye soz-e-mohabbat ek barq si rag rag mein mere kaund rahi hai