bas ki faalumma-yurid hai aaj har silah shor englistan ka ghar se bazar mein nikalte hue zohra hota hai aab insan ka chauk jis ko kahen wo maqtal hai ghar bana hai namuna zindan ka shahr-e-dehli ka zarra zarra khak tishna-e-khun hai har musalman ka koi wan se na aa sake yan tak aadmi wan na ja sake yan ka main ne mana ki mil gae phir kya wahi rona tan o dil o jaan ka gah jal kar kiya kiye shikwa sozish-e-dagh-ha-e-pinhan ka gah ro kar kaha kiye baham majra dida-ha-e-giryan ka is tarah ke visal se yarab kya mite dil se dagh hijran ka
Please share if you liked this!!!