'ishrati' ghar ki mohabbat ka maza bhul gae kha ke london ki hawa ahd-e-wafa bhul gae pahunche hotel mein to phir id ki parwa na rahi cake ko chakh ke sewaiyon ka maza bhul gae bhule man bap ko aghyar ke charnon mein wahan saya-e-kufr pada nur-e-khuda bhul gae mom ki putliyon par aisi tabiat pighli chaman-e-hind ki pariyon ki ada bhul gae kaise kaise dil nazuk ko dukhaya tum ne khabar-e-faisla-e-roz-e-jaza bhul gae bukhl hai ahl-e-watan se jo wafa mein tum ko kya buzurgon ki wo sab jud-o-ata bhul gae naql maghrib ki tarang aai tumhaare dil mein aur ye nukta ki meri asl hai kya bhul gae kya tajjub hai jo ladkon ne bhulaya ghar ko jab ki budhe rawish-e-din-e-khuda bhul gae