Zakhm-E-Ummiid Bhar Gayaa Kab Kaa

Zakhm-e-ummiid bhar gayaa kab kaa
Qais to apne ghar gayaa kab kaa
Aap ik aur niind le liijiye
Qaafilaa kuuch kar gayaa kab kaa
Dukh ka lamhaa azal abad lamhaa
Vaqt ke paar utar gayaa kab kaa
Apna muunh ab to mat dikhaoa mujhe
Naasiho, main sudhar gayaa kab kaa
Nasshaa hone kaa be-tarah thaa kabhi
Par vo zaalim utar gayaa kab kaa
Aap ab puuchney ko aaye hain?
Dil merii jaan, mar gayaa kab kaa

Hum ko junun kya sikhalate ho hum the pareshan

Hum ko junun kya sikhalate ho hum the pareshan
Tumase ziyada
Chak kiye hain hum ne azizon char gareban
Tumase ziyada
Chak-e-jigar muhataj-e-rafu hai aj to daman sirf
Lahu hai
Ek mausam tha hum ko raha hai shauq-e-baharan
Tumase ziyada
Jao tum apni bam ke khatir sari laven shamon ke
Katar lo
Zakhmon ke mahar-o-mah salamat jashn-e-
Chiragan tumase ziyada

Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarah

Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarah
Mera vajud hai jalate hue makan ke tarah
Bhari bahar ka sina hai zakhm zakhm magar
Saba ne gaye hain lori shafiq man ke tarah
Wo kon tha jo barahana badan chattanon se
Lipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ke tarah
Sakut-e-dil to jazira hai barf ka lekin
Tera khulus hai suraj ke sayeban ke tarah
Main ik khwab sahi aap ke amanat hun
Mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ke tarah

Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
Har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,
Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin
Kertay,
Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,
Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close