Mujh sy bicharr k

Mujh sy bicharr k, mujh ko rula kar uddas tha..
meri trha wo khud ko jala kar uddas tha..
aise ajeeb dard k pehre thy chaaar soo..
ab k wo mere shahar me aa k uddas tha..
mujh ko bhi uski yaad satati rahi buhat..
wo bhi diya-e-ghair me ja kar uddas tha..
mere elawa bhi hai koi uska es shahar me..
itni c baat mujh ko bata kr uddas tha..usko uddas kar gai beety dinon ki yaad..
guzri rafaaqaton ko gawa kar uddas tha..

Dayr-e-gherr mein meri shabon ka sathi ho koi tou ho jo meri wahshitun ka sathi ho mein

Dayr-e-gherr mein meri shabon ka sathi ho
koi tou ho jo meri wahshitun ka sathi ho

mein is se jhut bhe bolun wo muj se sach bolay
mere mizaj k sabhi mousmo ka sathi ho

wo mere naam ki nisbat se mutibir tharay
gali gali meri rusiyun ka sathi ho

kare kalaam jo muj se tou mere lajhay mein
mein chup rahun tou mere tavarun ka sathi ho

mein apny aap ko dekhun wo muj ko dekhay jaay
wo mere nafas k ghumriyhiyun ka sathi ho

wo khoab dekhay tou dekhay mere hawlay se
mere khayal k sabhi manzrun ka sathi ho

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close