Fitrat me nahi Humare

Fitrat me nahi humare,
mohabbat me aason bahana,
bewafaiko unki apni yadon me
dohrana,
do boond sharab ki,
bhuladeti hai sare gam,
aur,phir kisi nayi mehbooba kitalash me
nikal padte hai hum !!

Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain

Doston ki dost hi jaan lene lage hain.
ab to vafa mein bhi imtahan hone lage hain.
kho gayi tahazeeb-insani insanon se,
insaniyat bhi insan khone lage hain.
kal tak thi chhoone se nafarat jinhen,
wo bhi munh sharab se dhone lage hain.
doston ki dost….
bharosa uth gaya insan ka insan se,
bete bhi zamanat baap se lene lage hain.
farz bacha hi nahin is jahan mein koi,
nauker ke bhi malik pe ehasan hone lage hain.

Nigah-e-saqi-e-namaharaban ye kya jane ki tut jate hain Khud dil ke sath paimane Mili jab unase nazar

Nigah-e-saqi-e-namaharaban ye kya jane
ki tut jate hain khud dil ke sath paimane

mili jab unase nazar bas raha tha ek jahan
hati nigah to charon taraf the virane

hayat lagzishe-paiham ka nam hai saqi
labon se jam laga bhi sakun khuda jane

vo tak rahe the hamin hans ke pi gae ansu
vo sun rahe the hamin kah sake na afasane

ye ag aur nahin dil ki ag hai nadan
chirag ho ke na ho jal bujhenge paravane

fareb-e-saqi-e-mahafil na puchhiye quotmajrooh quot
sharab ek hai badale hue hain paimane

Wo jo roop Zer-e-Naqab ta

Wo jo roop zer-e-naqab ta

Usy dekna mera khwaab ta

Jo mila ta hijr ki shakal me

Meri chahaton ka azaab ta

Ye sawal ta k mila karo

Na mila karo ye jawab ta

Jisy dek kar main tarap utha

Teri aankh me wo hijab ta

Mery paas thi meri tishnagi

Tere paas
Jaam-e-sharab ta

Tera pyaar ta meri sha'yiri

Tera ishq meri kitab ta

Wo jo roop zer-e-naqab ta

Wo shayed koi gulab ta

Jisy dekna mera khwab ta......!!!!!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close