Kuchh Bhi Bacha Na Kahne Ko Har Baat Ho Gayi

Kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
aao kahin sharab piye raat ho gayi,

suraj ko chonch mein liye murga khada raha,
khidki ke parde khinch diye raat ho gayi,

woh aadmi ab kitna bhala kitna seedha,
us se bhi lijiye aaj mulakat ho gayi,

raste mein woh mila tha main bach kar nikal gaya,
uski fati kamij mere saath ho gayi,

naksha utha ke koi naya shahar dundhiye,
is shahar mein toh sabse mulakat hi gayi…

Meri bhi yaaro wahi puraani si kahaani wo tuti hui kashti wo majdhaar ka paani mujhe bhi

Meri bhi yaaro wahi puraani si kahaani
wo tuti hui kashti wo majdhaar ka paani
mujhe bhi kisi ne beech raah me chhoda
naam diya bewafa aur dil mera toda
maine bhi utahaya wahi badnaam sa kadam…
mehbooba banaya sharaab ko aur haath me le li kalam
ye tha ab tak ki shayari ka safar
shaayad uski judaai de rahi hai mujhe ye hunar…
uss haseena ki yaad me mai yunhi likhta rahunga
aur isi tarah aap sabko yahan dikhta rahunga…

Hawaao Se Dariye Ki Baat Hoti Thi Kaagazo Se Gulabo Ki Baat Hoti Thi Kya Jaam-E- Mausam

Hawaao se dariye ki baat hoti thi
kaagazo se gulabo ki baat hoti thi

kya jaam-e- mausam ka bahaar hai “masroor”
barsaat se sharaab ki baat hoti thi

ghamo ka fasaana toh dikhai deta tha
aaj kal judaai ki baat hoti thi

na jaane kyun aaj sab begaane ho gaye
ghar mein apno ki baat hoti thi

takraa toh hum bhi gaye the deewaro se
kambaqat mohabbat mein bewafaai ki baat hoti thi

kya zindagi jeete in logon ke beech
wafaao se maut ki baat hoti thi…

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close