Ek samandar ke pyase kinare the hum,apna paigam lati thi mouj e ravaa,aaj do rail ki patriyon ki tarah,sath chalna hai aur bolna tak nahin,lakdiyon se tarashi huyi ladkiyan,tin ke nojavaan mukhtlif rang mein,dost hain dosti se magar bekhabar,jaan e dushman hainlekin khafa tak nahin,kesriya rang ke gesuon ki ghata,aasmaa rang ke kot par chha gayi,narm yaadon ke fariston ke parr,dudhiya khamushi aur hawa tak nahin…