Zindagi se pareshan hoon

Zindagi se pareshan hoon,
khud se main anjaan hoon,
koi mujhe sahara dede,
mai ek akela insan hoon,

mohabbat se dar lagta hai,
bewafai ka samandar lagta hai,
koi mujhe sahara dede,
mai ek akela insaan hoon,

dosti ki ummeed mein jeeta hoon,
din raat main bas rota hoon,
koi mujhe sahara dede,
mai ek akela insaan hoon,

Aise na humko aajmao yaaro

Aise na humko aajmao yaaro,
kabhi to gale se lagao yaaro,
mana ye dunia gumon ka hai mela,
mager aise na humko tadpao yaaro,
mana ishq me usne apne layak na samjha,
dosto mein meri sakhsiyat batlao yaaro,
khafa kyun ho mujhse nadan hun main,
mujhe meri galti samjhao yaaro,
aise na humko aajmao yaaro,
kabhi to gale se lagao yaaro…

Aao tumhe le jaun school ki un yaadon me

Aao tumhe le jaun school ki un yaadon me,
jahan main ek nanhi ladki ke roop me aayi thi,
is ajnabi padhai ki duniya mein koi na apna lagta tha,
dheere-dheere pata nhi kaise sbko pehchaan-ne lagii aur sab apne bante chale gaye,
yahi wo jagah jaha hme work na karne par dantt milti thi,
yahi hai wo duniya jaha dosti ko dil se nibhaya jata tha,
aur wo ashiyana jaha pyaar k afsaane hua karte the,
hukum ho to likh dun har pal un yaadon ka,
par hoga nahi mukammal silsila kahaniyon ka,
ab maan b jao tabassum yaadon ka qatl kardo,
kyun ke phir na laut aayenge ye pyaare din…

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close