mashwara

Shayari By

jise sale sasur aur saliyon se pyar hota hai
usi shauhar ka is duniya mein beda par hota hai

kaha biwi ne ye mujh se mita de apni hasti ko
ki dana khak mein mil kar gul-o-gulzar hota hai [...]

KHuda ki marzi

Shayari By

panch salon se hain pardes mein apne sahab
bachcha har sal magar ghar mein naya hota hai

nek biwi ki khata koi nahin hai shayad
wahi hota hai jo manzur-e-khuda hota hai [...]

jute

Shayari By

is bare mein farmate hain kya mufti-e-azam
jute jo rakhun aage to sajde nahin hote

jute ye namazon mein khalal dal rahe hain
jute jo rakkhun pichhe to jute nahin hote [...]

farshi salam

Shayari By

mushaere jo karaate hain chanda kar kar ke
unhin ko sirf main farshi salam karta hun

ye log mujh ko samajhte hain shair-e-azam
main jahilon ka bahut ehtiram karta hun [...]

farq

Shayari By

halal o jhatke mein yaro yahi hai farq thoda sa
ki ek yak-lakht hai aur ek azab aahista aahista

qalam mahbuba kar deti hai sar ko ek jhatke mein
ye biwi karti hai khana-kharab aahista aahista [...]

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close