dukh apna agar hum ko batana nahin aata tum ko bhi to andaza lagana nahin aata pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo hum tak kya baat hui kyun wo zamana nahin aata main bhi use khone ka hunar sikh na paya us ko bhi mujhe chhod ke jaana nahin aata is chhote zamane ke bade kaise banoge logon ko jab aapas mein ladana nahin aata dhundhe hai to palkon pe chamakne ke bahane aansu ko meri aankh mein aana nahin aata tarikh ki aankhon mein dhuan ho gae khud hi tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata