har bar mere samne aati rahi ho tum har bar tum se mil ke bichhadta raha hun main tum kaun ho ye khud bhi nahin jaanti ho tum main kaun hun ye khud bhi nahin jaanta hun main tum mujh ko jaan kar hi padi ho azab mein aur is tarah khud apni saza ban gaya hun main tum jis zamin par ho main us ka khuda nahin pas sar-ba-sar aziyyat o aazar hi raho bezar ho gai ho bahut zindagi se tum jab bas mein kuchh nahin hai to bezar hi raho tum ko yahan ke saya o partaw se kya gharaz tum apne haq mein bich ki diwar hi raho main ibtida-e-ishq se be-mehr hi raha tum intiha-e-ishq ka mear hi raho tum khun thukti ho ye sun kar khushi hui is rang is ada mein bhi purkar hi raho main ne ye kab kaha tha mohabbat mein hai najat main ne ye kab kaha tha wafadar hi raho apni mata-e-naz luta kar mere liye bazar-e-iltifat mein nadar hi raho jab main tumhein nashat-e-mohabbat na de saka gham mein kabhi sukun-e-rifaqat na de saka jab mere sab charagh-e-tamanna hawa ke hain jab mere sare khwab kisi bewafa ke hain phir mujh ko chahne ka tumhein koi haq nahin tanha karahne ka tumhein koi haq nahin