tujh ko malum nahin tujh ko bhala kya malum tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush meri takhil ko kya rang ata karte hain teri zulfen teri aankhen tere aariz tere hont kaisi an-jaani si masum khata karte hain tere qamat ka lachakta hua maghrur tanaw jaise phulon se ladi shakh hawa mein lahrae wo chhalakte hue saghar si jawani wo badan jaise shoala sa nigahon mein lapak kar rah jae khalwat-e-bazm ho ya jalwat-e-tanhai ho tera paikar meri nazron mein ubhar aata hai koi saat ho koi fikr ho koi mahaul koi saat ho koi fikr ho koi mahaul mujh ko har samt tera husn nazar aata hai chalte chalte jo qadam aap thithak jate hain sochta hun ki kahin tu ne pukara to nahin gum si ho jati hain nazren to khayal aata hai is mein pinhan teri aankhon ka ishaara to nahin dhup mein saya bhi hota hai gurezan jis dam teri zulfen mere shanon pe bikhar jati hain jhuk ke jab sar kisi patthar pe tika deta hun teri bahen meri gardan mein utar aati hain aankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai sar-e-baalin koi baitha hai bade pyar ke sath mere bikhre hue uljhe hue baalon mein koi ungliyan pherta jata hai bade pyar ke sath jaane kyun tujh se dil-e-zar ko itni hai lagan kaisi kaisi na tamannaon ki tamhid hai tu din mein tu ek shab-e-mahtab hai meri khatir sard raaton mein mere waste khurshid hai tu apni diwangi-e-shauq pe hansta bhi hun main aur phir apne khayalat mein kho jata hun tujh ko apnane ki himmat hai na kho dene ka zarf kabhi hanste kabhi rote hue so jata hun main kis ko malum mere khwabon ki tabir hai kya kaun jaane ki mere gham ki haqiqat kya hai main samajh bhi lun agar is ko mohabbat ka junun tujh ko is ishq-e-junun-khez se nisbat kya hai tujh ko malum nahin tujh ko na hoga malum tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush meri takhil ko kya rang ata karte hain teri zulfen teri aankhen tere aariz tere hont kaisi an-jaani si masum khata karte hain