hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi

hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi
dil ke lutne ka sabab puchho na sab ke samne
nam aaega tumhaara ye kahani phir sahi
nafraton ke tir kha kar doston ke shahr mein
hum ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi
kya bataen pyar ki bazi wafa ki rah mein
kaun jita kaun haara ye kahani phir sahi

mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de

mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de
my companion, my intimate, be not a friend and yet betray
the pain of love is fatal now, for my life please do not pray
mere dagh-e-dil se hai raushni isi raushni se hai zindagi
mujhe dar hai ai mere chaara-gar ye charagh tu hi bujha na de
the fire of this heart gives light, this light gives me sustenance
i am afraid o healer mine, this lamp you may snuff away
mujhe chhod de mere haal par tera kya bharosa hai chaara-gar
ye teri nawazish-e-mukhtasar mera dard aur badha na de
leave me to my present state, i do not trust your medicine
your mercy minor though may be,might increase my pain today
mera azm itna buland hai ki parae shoalon ka dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jala na de
my confidence in self is strong, i'm unafraid of foreign flames
i'm scared those sparks may ignite, that in the blossom's bosom lay
wo uthe hain le ke khum-o-subu are o 'shakil' kahan hai tu
tera jam lene ko bazm mein koi aur hath badha na de
she rises with the flask and cup, o shakeel where have you gone
that cup which is yours perchance, someone else might take away

lamhe lamhe ki na-rasai hai

lamhe lamhe ki na-rasai hai
zindagi haalat-e-judai hai
mard-e-maidan hun apni zat ka main
main ne sab se shikast khai hai
ek ajab haal hai ki ab us ko
yaad karna bhi bewafai hai
ab ye surat hai jaan-e-jaan ki tujhe
bhulne mein meri bhalai hai
khud ko bhula hun us ko bhula hun
umr bhar ki yahi kamai hai
main hunar-mand-e-rang hun main ne
khun thuka hai dad pai hai
jaane ye tere wasl ke hangam
teri furqat kahan se aai hai

dukh apna agar hum ko batana nahin aata

dukh apna agar hum ko batana nahin aata
tum ko bhi to andaza lagana nahin aata
pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo hum tak
kya baat hui kyun wo zamana nahin aata
main bhi use khone ka hunar sikh na paya
us ko bhi mujhe chhod ke jaana nahin aata
is chhote zamane ke bade kaise banoge
logon ko jab aapas mein ladana nahin aata
dhundhe hai to palkon pe chamakne ke bahane
aansu ko meri aankh mein aana nahin aata
tarikh ki aankhon mein dhuan ho gae khud hi
tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close