sar hi ab phodiye nadamat mein nind aane lagi hai furqat mein hain dalilen tere khilaf magar sochta hun teri himayat mein ruh ne ishq ka fareb diya jism ko jism ki adawat mein ab faqat aadaton ki warzish hai ruh shamil nahin shikayat mein ishq ko darmiyan na lao ki main chikhta hun badan ki usrat mein ye kuchh aasan to nahin hai ki hum ruthte ab bhi hain murawwat mein wo jo tamir hone wali thi lag gai aag us imarat mein zindagi kis tarah basar hogi dil nahin lag raha mohabbat mein hasil-e-kun hai ye jahan-e-kharab yahi mumkin tha itni ujlat mein phir banaya khuda ne aadam ko apni surat pe aisi surat mein aur phir aadmi ne ghaur kiya chhipkili ki latif sanat mein ai khuda jo kahin nahin maujud kya likha hai hamari qismat mein