aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya dil ki bigdi hui taswir pe rona aaya ishq ki qaid mein ab tak to umidon pe jiye mit gai aas to zanjir pe rona aaya kya hasin khwab mohabbat ne dikhaya tha hamein khul gai aankh to tabir pe rona aaya pahle qasid ki nazar dekh ke dil sahm gaya phir teri surkhi-e-tahrir pe rona aaya dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake apni khoi hui taqdir pe rona aaya kitne masrur the jine ki duaon pe 'shakil' jab mile ranj to tasir pe rona aaya