ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge roenge bahut lekin aansu nahin aaenge kah dena samundar se hum os ke moti hain dariya ki tarah tujh se milne nahin aaenge wo dhup ke chhappar hon ya chhanw ki diwaren ab jo bhi uthaenge mil jul ke uthaenge jab sath na de koi aawaz hamein dena hum phul sahi lekin patthar bhi uthaenge