sang-e-marmar ki khunuk banhon mein husn-e-khwabida ke aage meri aankhen shal hain gung sadiyon ke tanazur mein koi bolta hai waqt jazbe ke taraazu pe zar-o-sim-o-jawahir ki tadap taulta hai! har nae chand pe patthar wahi sach kahte hain usi lamhe se damak uthte mein un ke chehre jis ki lau umr gae ek dil-e-shab-zad ko mahtab bana aai thi! usi mahtab ki ek narm kiran sancha-e-sang mein dhal pai to ishq rang-e-abadiyyat se sar-afraaz hua kya ajab nind hai jis ko chhu kar jo bhi aata hai khuli aankh liye aata hai so chuke khwab-e-abad dekhne wale kab ke aur zamana hai ki us khwab ki tabir liye jag raha hai ab tak!