sanwar nok-palak abruon mein KHam kar de

sanwar nok-palak abruon mein kham kar de
gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de
ghurur us pe bahut sajta hai magar kah do
isi mein us ka bhala hai ghurur kam kar de
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas bade de sharab kam kar de
chamakne wali hai tahrir meri qismat ki
koi charagh ki lau ko zara sa kam kar de
kisi ne chum ke aankhon ko ye dua di thi
zamin teri khuda motiyon se nam kar de

phul khile hain likha hua hai toDo mat

phul khile hain likha hua hai todo mat
aur machal kar ji kahta hai chhodo mat
rut matwali chand nashila raat jawan
ghar ka aamad-kharch yahan to jodo mat
abr jhuka hai chand ke gore mukhde par
chhodo laj lago dil se munh modo mat
dil ko patthar kar dene wali yaado
ab apna sar us patthar se phodo mat
mat 'amiq' ki aankhon se dil mein jhanko
is gahre sagar se nata jodo mat

dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho

dhup mein niklo ghataon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho
sirf aankhon se hi duniya nahin dekhi jati
dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho
pattharon mein bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-diwar saja kar dekho
wo sitara hai chamakne do yunhi aankhon mein
kya zaruri hai use jism bana kar dekho
fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
wo mile ya na mile hath badha kar dekho

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close