irshad ki yaad mein

ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya
lakht-e-jigar ko khak mein dafna ke aa gaya
har ham-safar pe khizr ka dhoka hua mujhe
aab-e-baqa ki rah se katra ke aa gaya
hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main
apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya
dil le gaya mujhe teri turbat pe bar bar
aawaz de ke baith ke ukta ke aa gaya
roya ki tha jahez tera wajib-ul-ada
meinh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya
meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost
tinka sa ek samne dariya ke aa gaya
ab ke bhi ras aai na hubb-e-watan 'hafiz'
ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya

good-night

nind mere aasab pe sawar ho chuki hai
umid ne daman jhatak kar
dahliz par unghti hui aankhon ke hath zakhmi kar diye hain
intizar
apne mantiqi anjam ko pahunch raha hai
ab main so jaana chahta hun
nind se meri aankhen band ho rahi hain
han
subh agar meri aankhen na khul saken
to mujhe muaf kar dena

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close