farishte padhte hain jis ko wo nam hai tera badi janab teri faiz aam hai tera sitare ishq ke teri kashish se hain qaem nizam-e-mehr ki surat nizam hai tera teri lahad ki ziyarat hai zindagi dil ki masih o khizr se uncha maqam hai tera nihan hai teri mohabbat mein rang-e-mahbubi badi hai shan bada ehtiram hai tera agar siyah dilam dagh-e-lala-zar-e-tawam digar kushada jabinam gul-e-bahaar-e-tawam chaman ko chhod ke nikla hun misl-e-nikhat-e-gul hua hai sabr ka manzur imtihan mujh ko chali hai le ke watan ke nigar-khane se sharab-e-ilm ki lazzat kashan kashan mujh ko nazar hai abr-e-karam par darakht-e-sahra hun kiya khuda ne na mohtaj-e-baghban mujh ko falak-nashin sifat-e-mehr hun zamane mein teri dua se ata ho wo nardban mujh ko maqam ham-safaron se ho is qadar aage ki samjhe manzil-e-maqsud karwan mujh ko meri zaban-e-qalam se kisi ka dil na dukhe kisi se shikwa na ho zer-e-asman mujh ko dilon ko chaak kare misl-e-shana jis ka asar teri janab se aisi mile fughan mujh ko banaya tha jise chun chun ke khar o khas main ne chaman mein phir nazar aae wo aashiyan mujh ko phir aa rakhun qadam-e-madar-o-pidar pe jabin kiya jinhon ne mohabbat ka raaz-dan mujh ko wo sham-e-bargah-e-khandan-e-murtazwi rahega misl-e-haram jis ka aastan mujh ko nafas se jis ke khili meri aarzu ki kali banaya jis ki murawwat ne nukta-dan mujh ko dua ye kar ki khudawand-e-asman-o-zamin kare phir us ki ziyarat se shadman mujh ko wo mera yusuf-e-sani wo sham-e-mahfil-e-ishq hui hai jis ki ukhuwwat qarar-e-jaan mujh ko jala ke jis ki mohabbat ne daftar-e-man-o-tu hawa-e-aish mein pala kiya jawan mujh ko riyaz-e-dahr mein manind-e-gul rahe khandan ki hai aziz-tar az-jaan wo jaan-e-jaan mujh ko shagufta ho ke kali dil ki phul ho jae ye iltija-e-musafir qubul ho jae