nai subh chahte hain nai sham chahte hain jo ye roz o shab badal de wo nizam chahte hain wahi shah chahte hain jo ghulam chahte hain koi chahta hi kab hai jo awam chahte hain isi baat par hain barham ye sitamgaran-e-alam ki jo chhin gaya hai hum se wo maqam chahte hain kise harf-e-haq sunaun ki yahan to us ko sunna na khawas chahte hain na awam chahte hain ye nahin ki tu ne bheja hi nahin payam koi magar ek wahi na aaya jo payam chahte hain teri rah dekhti hain meri tishna-kaam aankhen tere jalwe mere ghar ke dar-o-baam chahte hain wo kitab-e-zindagi hi na hui murattab ab tak ki hum intisab jis ka tere nam chahte hain na murad hogi puri kabhi un shikariyon ki mujhe dekhna jo 'zahid' tah-e-dam chahte hain