zulm

Shayari By

ho jata hai minton mein pasine se sharabor
chalta hai unhen jab bhi utha kar wo piyaada

ye zulm nahin hai to bata dijiye kya hai
bachche ka hai kam wazn kitabon ka ziyaada [...]

nazar

Shayari By

bani hain jab se abba ji ki aankhen
hamare sath un ki than gai hai

karen kaise padosan ko ishaare
nazar un ki musibat ban gai hai [...]

election

Shayari By

electionon mein ye din-raat jagne wala
mujhe ye dar hai ki sehat bhi apni khoega

koi qarib se bola ki fikr mat kije
ye panch sal assembly mein ja ke soega [...]

tazad

Shayari By

election ki muhim ho to dupatta sar pe aa jae
giraftari agar ho hath mein tasbih rakhti hai

‘awamunnas ke jazbaat se hai khelna kaise
agende mein faqat ye ek hi tarjih rakhti hai [...]

tafawut

Shayari By

wo jin ki piri-faqiri ka hai jahan qail
wo jin ke dam se kahin ranj-o-gham nahin tikte

khud apne pet mein halka sa dard utthe to
‘ilaj ke liye landan se kam nahin tikte [...]

mutalba

Shayari By

kabhi to hum ko bhi lift de kar kisi jagah pe drop kar do
raqib jitne bhi muntazir hain mission tum un ka flop kar do

mutalba hai ki facebook pe lagai jitni hain pics tum ne
jo daen baen khade hue hain bas un ke photo crop kar do [...]

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close